Friday, April 24, 2009

zindagi ke pyar me zindagi bhula di ye

zinhe zindagi samjhe wo zindagi ujaad gaye

zi lete nafraton ke sahare nafraten bhi na mili

Bewafa ashq ye ashq bhi bache nahi

 

jeena toh sirf ek bahana hai

maksad toh kuch aur hi kar jana hai

kar jaun kuch aisa ki

dekhta rahe zamana sara

ki mujh jaisa bhi koi deewana hai

dosti karo to dhoka mat dena,

dosto ko asuo ka tohfa mat dena,

dil se roye koi tumhe yaad karke,

aisa kisiko mauka mat dena .......

Lehron me dubatay rahey kinara na mila,

Tujhse bichad k fir koi duja na mila,

kuch log thodi der k liye achey lagy,

magar hum jiske ho sakey koi waisa na mila

Zindagi ek paheli se lagti hai,

Har lamha ek saheli si lagti hai,

isme kabhi aansu to kabhi gam hai,

jise soch kar aaj meri aankhe nam hai.

Chand utra tha hamare aangan mein,

yeh sitaro ko gawara na hua,

hum bhi sitaron se kya gila karein,

jab chand hi hamara na hua

Bahut khusnuma kal ki raat guzri, kuch tanha par kuch khaas guzri, na neend aayi na khwaab koi, bas aapke hi khayalon ke saath guzri

Har phool ki ajab kahani hai, chup rehna bhi pyar ki nishani hai, kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu dard ka ehsaas hai, lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai

Dooriyan bahut hain par itna samajh lo, paas rehkar bhi koi rishta khaas nahi hota. Tum dil ke itne paas ho ki dooriyon ka ehsaas nahi hota

Phir na simtegi agar dosti bikhar jayegi, zindagi zulf nahi jo phir se sanwar jayegi, jo khushi de tumhe thaam lo uska daaman, zindagi roke nahi hasske guzar jayegi

Hasino ne haseen bankar gunaah kiya, auro ko to kya humko bhi tabah kiya. Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko, auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya 

Chot khate hain aur muskurate hain, is dil ko sabar karna sikhate hain. Hum to gham lekar bhi yaad rakhte hai, aur ek woh hain jo gham dekar bhi bhool jate hain .

Dil tootega to fariyaad karoge tum bhi,

hum na rahe to humein yaad karoge tum bhi.

Aaj kehte ho hamare paas waqt nahi, par ek din mere liye waaqt barbaad karoge tum bhi

Thursday, April 23, 2009

Samaney hei jo us log bura kehthe hei,
Jisko dekha hi nahi usko khuda kehthe hei !

chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega

Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,
Pachtawoge suno ye basti ujad ke.

Toot Jaathe Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Thujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Thujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar thamanna thi aazmane ki
Hum tho behusth youn hi ho jaathe
Kya zaroorath thi muskurane ki

margaye hum kisi husnki nigaho mei
kaathil hei uski ada 
chahe jaan bhi chale hamari
unki aankho mei doob ke
kho jane dhe hosh bhi uski khayalom mei
phir na kabhi sojhe hum kisi madhoshi ke bare mei
:love:

khayal bhi humse choot bolne lega,
socha humne saaya ki tharaf woh hoga hamesha saath,
ab humne jaana wafa ki roshni usko anjaan hei,
roshni ke bina kesei hoga saaya

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?

Humne Socha sirf Humi chahthe hain unko,:love:
Par unhe chahne walon ka tho kafila nikla, :love:
Dil ne kaha shikayat kar KHUDA se, :love:
Par woh Khuda bhi unka chahnewala nikla....
 :love:

Kabhi jazbaath yaado ko dafnn kiya kerthe hei,
kabhi aansu kabhi dard piya kerthe hei,
mohjath tho nahi humei phir bhi,
aapke aane ka intezaar kia kerte hei.................

Na jane kyu hame aansu bahana nahi aatha.
Na jane kyu hale dil bathana nahi aatha .
Kyu saathi bichad jathe hei hamesha hamse .
shayad hame hi sath nibana nahi ata....

muhabbat karane vaale kam na ho.nge 
terii mahafil me.n lekin ham na ho.nge 

zamaane bhar ke Gam yaa ik teraa Gam 
ye Gam hogaa to kitane Gam na ho.nge 

dilo.n kii uljhane ba.Dhatii rahe.ngii 
agar kuchh mashvare baaham na ho.nge 

agar tuu itefaaqan mil bhii jaaye 
terii furqat ke sadame kam na ho.nge

din kuchh aise guzaarataa hai ko_ii
jaise ehasaan utaarataa hai ko_ii

aa_iinaa dekh ke tasallii hu_ii
ham ko is ghar meiN jaanataa hai ko_ii

pak gayaa hai shazar pe phal shayaad
phir se patthar uchhalataa hai ko_ii

phir nazar meiN lahuu ke chhiiNTe haiN
tum ko shaayad mughaalataa hai ko_ii

der se guuNjate haiN sannaaTe
jaise ham ko pukaarataa hai ko_ii"[

Gila thujhse nahi koi, 
gila theri majburiyom se karthe hei,
Thu aaj hamare karib nahin tho kya,
mohabbat tho hum theri duriyon se bhi karte hain.
Kaise bheeg sakthi hei aapki aankhein,
aap ke hizze ki aansu tho ham baha lethe hei.

Doori to teherthi hei magar waqth tho nahin,
Samundar to rehte hei wahi, par ashk tho nahi.
Khanjar tho seene ko chhoo kar phir chale gaya,
Khoon-e-jigar hi hei idhar, koi dard tho nahin. 

Yadain There Kabhi Bhool Na Payege,
Tu Na Rahi Tho Kya, Tere Duriyon Se Pyar Karege.
Mere Dil Ki Har Dhadkan Mei,
Yaadon Ka Pyar Sameta Karenge...
:beer::beer::beer:
Bus Rehgayi There Yadain Jo Hum Kabhi Bhula Na Payenge...

Wafaa ka Naam Naa Lo, 
Wafa ab Dil ko Dukhati Hai, 
Sach Toh Yeh Hai ki Wafa ka Naam Lete Hi, 
Phir ek Bewafa ki Yaad aati Hai… 
kabhi to usko yakin meri wafaon ka,
kabhi to badlega rukh in fijaon ka. 
he yakin ki wo mil jayenge mujhe, 
itna to sila to dega wo meri duaon ka.

mere ek ikrar there har inkar se acha hoga
mere ek din there har rath se acha hoge
mera har sher tere jasbatao se achaa hoga
thu doli pe aakar dekhlena zalim mera janaza theri baarath se acha hoga 

Kabhi Aansu Ya Khushiyon Ka Pal,
Yeh Samay Sab Sikha Detha Hai,
Dil Ro Kar Kare Shayari,
Ya Kabhi Kare Gam.



Is Pal Main Rehna Sikh Jayege,
Dheeray Say Muskurana Sikh Jayege,
Ae Jaan Tere Pyar Main,
Aansu Ko Chupa Na Sikh Jayege.

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya 
log har baat ka afsana bana lete hain 
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo 
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho 
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo 
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin" 
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na kar

Bikhari hui zulfon ko girahgeer bana lo
Rakhna hai mujhe qaid to zajeer bana lo
Kagaz pay lakeerain to bohot kheech li tumne
Ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo

zakham ithne gehare ki izhaar kya kare,
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare,
mar gaye hum magar khuli rakhi aankhe,
ab isse zyada aapka inthezar kya kare

jab jeene ke bare me socha 
tho humne jaana zindhagi ke rafthar humne bhool gayi,

 jis gane ki farmayish kar rehe hei

uski alfaz bhool chuke hei hum

yeh khabar hotha kon kartha baarish ki dua 
hum idhar pyaas e mar rehe hei

"phir na aayaa Khayaal jannat kaa,
jab tere ghar kaa raastaa dekhaa"