Thursday, April 23, 2009

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya 
log har baat ka afsana bana lete hain 
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo 
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho 
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo 
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin" 
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na kar

0 Comments:

Post a Comment

<< Home