Sunday, November 26, 2006

Samaney hei jo us log bura kehthe hei,
Jisko dekha hi nahi usko khuda kehthe hei !

Koi aankhon aankhon se baat kar letha hei
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar letha hei
Bada Mushkil hotha hei thab Jawaab dena
Jab koi Khamosh rehkar Sawaal kar letha hei

chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega

Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,
Pachtawoge suno ye basti ujad ke.

Toot Jaathe Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Thujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Thujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar thamanna thi aazmane ki
Hum tho behusth youn hi ho jaathe
Kya zaroorath thi muskurane ki

Thursday, November 23, 2006

margaye hum kisi husnki nigaho mei
kaathil hei uski ada
chahe jaan bhi chale hamari
unki aankho mei doob ke
kho jane dhe hosh bhi uski khayalom mei
phir na kabhi sojhe hum kisi madhoshi ke bare mei

Thursday, November 16, 2006

khayal bhi humse choot bolne lega,
socha humne saaya ki tharaf woh hoga hamesha saath,
ab humne jaana wafa ki roshni usko anjaan hei,
roshni ke bina kesei hoga saaya

Thursday, November 09, 2006

jab jeene ke bare me socha

tho humne jaana zindhagi ke rafthar humne bhool gayi,

jis gane ki farmayish kar rehe hei

uski alfaz bhool chuke hei hum

zakham ithne gehare ki izhaar kya kare,
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare,
mar gaye hum magar khuli rakhi aankhe,
ab isse zyada aapka inthezar kya kare

Bikhari hui zulfon ko girahgeer bana lo
Rakhna hai mujhe qaid to zajeer bana lo
Kagaz pay lakeerain to bohot kheech li tumne
Ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Kabhi Aansu Ya Khushiyon Ka Pal,
Yeh Samay Sab Sikha Detha Hai,
Dil Ro Kar Kare Shayari,
Ya Kabhi Kare Gam.


Is Pal Main Rehna Sikh Jayege,
Dheeray Say Muskurana Sikh Jayege,
Ae Jaan Tere Pyar Main,
Aansu Ko Chupa Na Sikh Jayege.

mere ek ikrar there har inkar se acha hoga
mere ek din there har rath se acha hoge
mera har sher tere jasbatao se achaa hoga
thu doli pe aakar dekhlena zalim mera janaza theri baarath se acha hoga

Wafaa ka Naam Naa Lo,
Wafa ab Dil ko Dukhati Hai,
Sach Toh Yeh Hai ki Wafa ka Naam Lete Hi,
Phir ek Bewafa ki Yaad aati Haiā€¦
kabhi to usko yakin meri wafaon ka,
kabhi to badlega rukh in fijaon ka.
he yakin ki wo mil jayenge mujhe,
itna to sila to dega wo meri duaon ka.

Yadain There Kabhi Bhool Na Payege,
Tu Na Rahi Tho Kya, Tere Duriyon Se Pyar Karege.
Mere Dil Ki Har Dhadkan Mei,
Yaadon Ka Pyar Sameta Karenge...
Bus Rehgayi There Yadain Jo Hum Kabhi Bhula Na Payenge...

Doori to teherthi hei magar waqth tho nahin,
Samundar to rehte hei wahi, par ashk tho nahi.
Khanjar tho seene ko chhoo kar phir chale gaya,
Khoon-e-jigar hi hei idhar, koi dard tho nahin.

Gila thujhse nahi koi,
gila theri majburiyom se karthe hei,
Thu aaj hamare karib nahin tho kya,
mohabbat tho hum theri duriyon se bhi karte hain.
Kaise bheeg sakthi hei aapki aankhein,
aap ke hizze ki aansu tho ham baha lethe hei.

muhabbat karane vaale kam na ho.nge
terii mahafil me.n lekin ham na ho.nge

zamaane bhar ke Gam yaa ik teraa Gam
ye Gam hogaa to kitane Gam na ho.nge

dilo.n kii uljhane ba.Dhatii rahe.ngii
agar kuchh mashvare baaham na ho.nge

agar tuu itefaaqan mil bhii jaaye
terii furqat ke sadame kam na ho.nge

Na jane kyu hame aansu bahana nahi aatha.
Na jane kyu hale dil bathana nahi aatha .
Kyu saathi bichad jathe hei hamesha hamse .
shayad hame hi sath nibana nahi ata....

Kabhi jazbaath yaado ko dafnn kiya kerthe hei,
kabhi aansu kabhi dard piya kerthe hei,
mohjath tho nahi humei phir bhi,
aapke aane ka intezaar kia kerte hei.................

Humne Socha sirf Humi chahthe hain unko,
Par unhe chahne walon ka tho kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar KHUDA se,
Par woh Khuda bhi unka chahnewala nikla....

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?